Pages

Saturday 3 December 2011

December Mujhe Raas Aata Nahi

December Mujhe Raas Aata Nahi

December ki sard shaamon mein khushk pat'ton par chalte hue
Soch ka sagar chain pata nahi, december mujhe raas aata nahi
Macahalti subah ki kirnon mein dhalti shabnam ke tabasum main
Koi ehsaas ubhar pata nahi, december mujhe raas aata nahi
Shokh sooraj ki dhoop main titliyan sarsarati hain
Kyon yeah chehra muskurata nahi, december mujhe raas aata nahi
Gehre hote andhere ke saath jagmaga jata hai sara aalam
Ik diya mere aangan mein ja pata nahi, december mujhe raas aata nahi
Muntazar rehte hain har waqt meri raahon ke parinde
Kahan hai woh ab aata nahi, december mujhe raas aata nahi
Uthe rahe haath mere rab ke aage tamam raat
Kyon woh mujhe maaf kar pata nahi, december mujhe raas aata nahi
Chale aao ab ke tumhari ik deed ki talib hai meri zandagi
Mout se gale laga jata nahi, december mujhe raas aata nahi

No comments:

Post a Comment