Pages

Sunday 8 April 2012

December Ki Shaamon Mein

December ki shaamon mein itni dil aawaiz afsurdagi hai

Ke ji chahta hai

Khin beth ke khoob ji bhar ke roein
Hawaon mein youn choti choti
Badliyan terti phir rahi hain
Ke jese kisi ki yaad se


Dil mein thandak ki ik lehar si dor jaey
Fiza is qadar khoobsurat hai
Jese koi dost betha hua
Dost ko apne gham ki kahani sunaye
Magar tum kahan ho
Tum aao
Main bhi tumhain apne gham ki kahani sunaon
Tum aao hum bhi kahin beth kar


Khoob ji bhar ke roein

Monday 19 December 2011

Likhna To Tha Ke Khush Hon Tere Baghair Bhi

Likhna To Tha Ke Khush Hon Tere Baghair Bhi
Aansoo Magar Qalam Se Pehle Hi Gir Gaye
-
لکھنا تو تھا کہ خوش ہوں تیرے بغیر بھی
آنسو مگر قلم سے پہلے ہی گر گئے

Sunday 11 December 2011

Mosam Tha Beqarar Tumhain Sochtye Rahye


Mosam Tha Beqarar Tumhain Sochtye Rahye
Kal Raat Bar Bar Tumhain Sochtye Rahye

Barish Hui To Ghar Ke Dareechye Se Lag Ke Hum
Chup Chaap Sogawar Tumhain Sochtye Rahye

موسم تھا بیقرار تمھیں سوچتے رہے
کل رات بار بار تمھیں سوچتے رہے
بارش ہوئی تو گھر کے دریچے سے لگ کے ہم
چپ چاپ سوگوار تمھیں سوچتے رہے

Saturday 10 December 2011

Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai

Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai
Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai
Jis mein tum likho
Ke kal kis rang ke kapre pehn'ne hain, kon si khushboo lagani hai?
Kis se kya baat kehni hai, kon si kis se chupani hai?
Kahan kis pair ke saye tale milna hai?
Mil kar pouchna hai
Kia tumhen mujh se muhabbat hai?
Yeh farsuda sa jumla hai
Magar phir bhi yahi jumla
Gali koochon mein chubaron mein
Chubaron ki tooti seerhiyon par Har koi kisi se keh raha hai
Kia tumhe muje se mohabbat hai?

Mohabbat Diary Nahi Hai
Jis mein tum likho ke
kya baat kehni hai, kon si kis se chupani hai?
Kis ke saath kitne door tak jana hai aur kab loat aana hai
Kahan aankhain jhukani hain aur kahan palkain uthani hain
Ya yeh likho ke ab ki baar jab woh milne aaye ga
To uska haath haathon mein le kar, dhanak chehre par roshan
Jagmagati uski aankhon mein utar jaenge, aur phir
Gulshan-o-Sehra ke beechon beech dil ki saltanat mein khaak uraein ge

Bohat mumkin hai woh ujlat mein aaye
Aur tum us ke haath haathon mein na le pao
Na aakhon hi mein jhanko, aur na dil ki saltanat mein khaak ura pao
Jaha par guftago karni hai tum khamosh ho jao
Jaha khamosh rehna hai wahan tum bolte jao
Naye kapre pehan kar ghar se niklo mele ho jao
Koi khushbo lagane ka irada ho tu sheeshi hath se gir jaye
Tum viraan ho jao
Safar karne se pehle be sar-o-samaan ho jao
Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai

Aab-e-ju hai
Jo dilon ke darmiyan behti hui khushbon hai
Kabi palkon pe lehraye to aankhain hansne lagti hain
Jo aankhon ke raste dil mein uthar jaye to
Manzar aur pas-e-manzar mein shammein jalne lagti hain
Kisi bi rang ko chhu le
Woh dil ko gawara hai
Kisi matti mein mil jaye
Wahi matti sitaara hai...

Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai...

(Poetess : Mona Sahar)

محبت ڈائری ہرگز نہیں ہے

محبت ڈائری ہرگز نہیں ہے
جس میں تم لکّھو
کہ کل کس رنگ کے کپڑے پہننے ، کون سی خوشبولگانی ہے
کسے کیا بات کہنی ہے، کون سی کس سے چھپانی ہے
کہاں کس پیڑ کے سائے تلے ملنا ہے
مل کر پوچھنا ہے
کیا تمھیں مجھ سے محبت ہے
یہ فرسودہ سا جُملہ ہے
مگر پھر بھی یہی جملہ
گلی کوچوں میں،چوباروں میں
چوباروں کی ٹوٹی سیڑھیوں پر
ہر جگہ کوئی کسی سے کہہ رہا ہے
کیا تمھیں مجھ سے محبت ہے

محبت ڈائری نہیں ہے
جس میں تم لکّھو
کیا بات کہنی ہے، کون سی کس سے چھپانی ہے
کسی کے ساتھ کتنی دور تک جانا ہے اور کب لوٹ آنا ہے
کہاں آنکھیں جھکانی ہیں اور کہاں پلکیں اٹھانی ہیں
یا یہ لکھو کہ اب کی بار جب وہ ملنے آئے گا
تو اُس کا ہاتھ ھاتھوں میں لے کر
دھنک چہرے پہ روشن جگمگاتی اُس کی آنکھوں میں اُتر جائے گے
اور پھر گلشن و صحرا کے بیچوں بیچ دل کی سلطنت میں خاک اُڑائیں گے

بہت ممکن ہے وہ عجلت میں آئے
اور تم اُس کا ہاتھ، ہاتھوں میں نہ لے پاؤ
نہ آنکھوں ہی میں جھانکو اورنہ دل کی سلطنت
میں خاک اُڑا پاؤ
جہاں پر گفتگو کرنی ہے تم خاموش ہو جاؤ
جہاں خاموش رہنا ہے وہاں تم بولتے جاؤ
نئے کپڑے پہن کر گھر سے نکلو، میلے ہو جاؤ
کوئی خوشبو لگانے کا ارادہ ہو تو شیشی ہاتھ سے گرجائے
تم ویران ہو جاؤ
سفر کرنے سے پہلے بے سروسامان ہو جاؤ

محبت ڈائری ہرگز نہیں ہے
آبِ جو ہے
جو دلوں کے درمیاں بہتی ہے خوشبو ہے
کبھی پلکوں پہ لہرائے تو آنکھیں ہنسنے لگتی ہیں
جو آنکھوں کے رستے دل میں اُترجائے تو منظر اور پس منظر میں شمعیں جلنے لگتی ہیں
کسی بھی رنگ کو چُھولے
وہی دل کو گوارا ہے
کسی مٹی میں گھل جائے
وہی مٹی ستارہ ہے
محبت ڈائری ہرگز نہیں ہے
(شاعرہ: مونا سحر)

Muflis

Itne Mukhtasar Waqt Mein Tameer Kese Karta Taaj Mehal

Muflis Ke Khwab Chand Nawalon Se Aage Na Gaye ! ! ! !

Thursday 8 December 2011

Aankhon Se Mere Is Liye Laali Nahi Jati

Aankhon se mere is liye laali nahi jati
Yadon se koi raat jo khali nahi jati

Ab umar na mausam na wo raste ke wo palte
Is dil ki magar kham khyali nahi jati

Mange tu agar jaan bhi hans ke thujhe de dain
Teri to koi baat bhi tali nahi jati

Aaye koi aa kar ye tere dard sanbhale
Hum se to ye jageer sanbhali nahi jati

Maloom hamein bhi hain boht se tere qisye
Par baat teri hum se uchali nahi jati

Hamrah tere phool khilati thi jo dil mein
Ab sham wohi dard se khali nahi jati

Hum jaan se jaen ge tabhi baat bane gi
Tum se to koi rah nikali nahi jati

(Poet : Wasi Shah)

Wednesday 7 December 2011

Khwab Marte Nahin



Khwab Marte Nahin
Khwab Dil Hain Na Ankhen Na Sansen K Jo
Reza-Reza Hue To Bikhar Jayenge
Jism Ki Maut Se Ye Bhi Mar Jayenge

Khwab Marte Nahin
Khwab To Roshni Hain, Nava Hain, Hava Hain
Jo Kale Pahadon Se Rukte Nahin
Zulm K Dozakhon Se Bhi Phukte Nahin
Roshni Aur Nava Aur Hava K Alam
Maqtalon Main Pohunch Kar Bhi Jhukte Nahin


Khwab To Harf Hain
Khwab To Nur Hain
Khwab Suqraat Hain
Khwab Mansoor Hain