Aankhon se mere is liye laali nahi jati
Yadon se koi raat jo khali nahi jati
Ab umar na mausam na wo raste ke wo palte
Is dil ki magar kham khyali nahi jati
Mange tu agar jaan bhi hans ke thujhe de dain
Teri to koi baat bhi tali nahi jati
Aaye koi aa kar ye tere dard sanbhale
Hum se to ye jageer sanbhali nahi jati
Maloom hamein bhi hain boht se tere qisye
Par baat teri hum se uchali nahi jati
Hamrah tere phool khilati thi jo dil mein
Ab sham wohi dard se khali nahi jati
Hum jaan se jaen ge tabhi baat bane gi
Tum se to koi rah nikali nahi jati
(Poet : Wasi Shah)
Yadon se koi raat jo khali nahi jati
Ab umar na mausam na wo raste ke wo palte
Is dil ki magar kham khyali nahi jati
Mange tu agar jaan bhi hans ke thujhe de dain
Teri to koi baat bhi tali nahi jati
Aaye koi aa kar ye tere dard sanbhale
Hum se to ye jageer sanbhali nahi jati
Maloom hamein bhi hain boht se tere qisye
Par baat teri hum se uchali nahi jati
Hamrah tere phool khilati thi jo dil mein
Ab sham wohi dard se khali nahi jati
Hum jaan se jaen ge tabhi baat bane gi
Tum se to koi rah nikali nahi jati
(Poet : Wasi Shah)
No comments:
Post a Comment