December ki shaamon mein itni dil aawaiz afsurdagi hai
Ke ji chahta hai
Khin beth ke khoob ji bhar ke roein
Hawaon mein youn choti choti
Badliyan terti phir rahi hain
Ke jese kisi ki yaad se
Dil mein thandak ki ik lehar si dor jaey
Fiza is qadar khoobsurat hai
Jese koi dost betha hua
Dost ko apne gham ki kahani sunaye
Magar tum kahan ho
Tum aao
Main bhi tumhain apne gham ki kahani sunaon
Tum aao hum bhi kahin beth kar
Mosam Tha Beqarar Tumhain Sochtye Rahye Kal Raat Bar Bar Tumhain Sochtye Rahye Barish Hui To Ghar Ke Dareechye Se Lag Ke Hum Chup Chaap Sogawar Tumhain Sochtye Rahye
موسم تھا بیقرار تمھیں سوچتے رہے
کل رات بار بار تمھیں سوچتے رہے
بارش ہوئی تو گھر کے دریچے سے لگ کے ہم
چپ چاپ سوگوار تمھیں سوچتے رہے
Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai Jis mein tum likho Ke kal kis rang ke kapre pehn'ne hain, kon si khushboo lagani hai? Kis se kya baat kehni hai, kon si kis se chupani hai? Kahan kis pair ke saye tale milna hai? Mil kar pouchna hai Kia tumhen mujh se muhabbat hai? Yeh farsuda sa jumla hai Magar phir bhi yahi jumla Gali koochon mein chubaron mein Chubaron ki tooti seerhiyon par Har koi kisi se keh raha hai Kia tumhe muje se mohabbat hai?
Mohabbat Diary Nahi Hai Jis mein tum likho ke kya baat kehni hai, kon si kis se chupani hai? Kis ke saath kitne door tak jana hai aur kab loat aana hai Kahan aankhain jhukani hain aur kahan palkain uthani hain Ya yeh likho ke ab ki baar jab woh milne aaye ga To uska haath haathon mein le kar, dhanak chehre par roshan Jagmagati uski aankhon mein utar jaenge, aur phir Gulshan-o-Sehra ke beechon beech dil ki saltanat mein khaak uraein ge
Bohat mumkin hai woh ujlat mein aaye Aur tum us ke haath haathon mein na le pao Na aakhon hi mein jhanko, aur na dil ki saltanat mein khaak ura pao Jaha par guftago karni hai tum khamosh ho jao Jaha khamosh rehna hai wahan tum bolte jao Naye kapre pehan kar ghar se niklo mele ho jao Koi khushbo lagane ka irada ho tu sheeshi hath se gir jaye Tum viraan ho jao Safar karne se pehle be sar-o-samaan ho jao Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai
Aab-e-ju hai Jo dilon ke darmiyan behti hui khushbon hai Kabi palkon pe lehraye to aankhain hansne lagti hain Jo aankhon ke raste dil mein uthar jaye to Manzar aur pas-e-manzar mein shammein jalne lagti hain Kisi bi rang ko chhu le Woh dil ko gawara hai Kisi matti mein mil jaye Wahi matti sitaara hai...
Mohabbat Diary Har Giz Nahi Hai...
(Poetess : Mona Sahar)
محبت ڈائری ہرگز نہیں ہے
محبت ڈائری ہرگز نہیں ہے
جس میں تم لکّھو
کہ کل کس رنگ کے کپڑے پہننے ، کون سی خوشبولگانی ہے
کسے کیا بات کہنی ہے، کون سی کس سے چھپانی ہے
کہاں کس پیڑ کے سائے تلے ملنا ہے
مل کر پوچھنا ہے
کیا تمھیں مجھ سے محبت ہے
یہ فرسودہ سا جُملہ ہے
مگر پھر بھی یہی جملہ
گلی کوچوں میں،چوباروں میں
چوباروں کی ٹوٹی سیڑھیوں پر ہر جگہ کوئی کسی سے کہہ رہا ہے
کیا تمھیں مجھ سے محبت ہے
محبت ڈائری نہیں ہے
جس میں تم لکّھو کیا بات کہنی ہے، کون سی کس سے چھپانی ہے
کسی کے ساتھ کتنی دور تک جانا ہے اور کب لوٹ آنا ہے
کہاں آنکھیں جھکانی ہیں اور کہاں پلکیں اٹھانی ہیں
یا یہ لکھو کہ اب کی بار جب وہ ملنے آئے گا
تو اُس کا ہاتھ ھاتھوں میں لے کر
دھنک چہرے پہ روشن جگمگاتی اُس کی آنکھوں میں اُتر جائے گے
اور پھر گلشن و صحرا کے بیچوں بیچ دل کی سلطنت میں خاک اُڑائیں گے
بہت ممکن ہے وہ عجلت میں آئے
اور تم اُس کا ہاتھ، ہاتھوں میں نہ لے پاؤ
نہ آنکھوں ہی میں جھانکو اورنہ دل کی سلطنت میں خاک اُڑا پاؤ
جہاں پر گفتگو کرنی ہے تم خاموش ہو جاؤ
جہاں خاموش رہنا ہے وہاں تم بولتے جاؤ
نئے کپڑے پہن کر گھر سے نکلو، میلے ہو جاؤ
کوئی خوشبو لگانے کا ارادہ ہو تو شیشی ہاتھ سے گرجائے
تم ویران ہو جاؤ
سفر کرنے سے پہلے بے سروسامان ہو جاؤ
محبت ڈائری ہرگز نہیں ہے آبِ جو ہے
جو دلوں کے درمیاں بہتی ہے خوشبو ہے
کبھی پلکوں پہ لہرائے تو آنکھیں ہنسنے لگتی ہیں
جو آنکھوں کے رستے دل میں اُترجائے تو منظر اور پس منظر میں شمعیں جلنے لگتی ہیں
کسی بھی رنگ کو چُھولے
وہی دل کو گوارا ہے
کسی مٹی میں گھل جائے
وہی مٹی ستارہ ہےمحبت ڈائری ہرگز نہیں ہے
Khwab Marte Nahin
Khwab Dil Hain Na Ankhen Na Sansen K Jo
Reza-Reza Hue To Bikhar Jayenge
Jism Ki Maut Se Ye Bhi Mar Jayenge
Khwab Marte Nahin
Khwab To Roshni Hain, Nava Hain, Hava Hain
Jo Kale Pahadon Se Rukte Nahin
Zulm K Dozakhon Se Bhi Phukte Nahin
Roshni Aur Nava Aur Hava K Alam
Maqtalon Main Pohunch Kar Bhi Jhukte Nahin
Khwab To Harf Hain
Khwab To Nur Hain
Khwab Suqraat Hain
Khwab Mansoor Hain