Pages

Monday, 5 December 2011

Titliyan Pakarne Ko Door Jana Parta Hai



Kitna Suhal Jana Tha
Khushboo Ko Chuu Lena
Barshon Ke Mosam Mein Shaam Ka Har Ik Manzar
Ghar Mein Qaid Kar Lena
Roshni Sitaron Ki Muthiyon Mein Bhar Lena
Kitna Suhal Jana Tha
Khushboo Ko Chuu Lena
Jugnuon Ki Baaton Se Phool Jese Aangan Mein
Roshni Si ar Lena
Uski Yaad Ka Chehra Khwaabnak Aankhon Ki
Jheel Ke Gulabon Par Dair Tak Saja Rakhna
Kitna Suhal Jana Tha

Ay Nazar Ki Khusfehmi ! Aisa Nahi Hota
"Titliyan Pakarne Ko Door Jana Parta Hai"

Woh Ashak Ban Ke

Woh Ashak Ban Ke Meri Chashm-e-Tar Mein Rehta Hai
Ajeeb Shakhs Hai, Paani Ke Ghar Mein Rehta Hai

Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarah Kati Hai

Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarah Kati Hai
Jaanye Kis Jurm Ki Pai Hai Saza Yaad Nahi

Aadat

Aashuftagi Se Uski Usko Bura Na Jaan
Aadat Ki Baat Aur Hai Dil Ka Bura Nahi

Wisaal

Wisaal


Woh Mera Khyal Thi, So Woh Thi
Main Uska Khyal Tha, So Main Tha
Ab Dono Khyal Mar Chuke Hain


(Poet : John Elia)

Sunday, 4 December 2011